TuTa hua hai lakh safar ki thakan se
TuuTā huā hai laakh safar kī thakān se
sahrā-navard kaise kahe āsmān se
dīvār-o-dar se aage bhī duniyā hai ik mirī
ik shaḳhs kah rahā thā ye apne makān se
hosh-o-havās saath hī dete nahīñ mirā
mehmān ek jab se gayā hai makān se
le aayā hai jo hijr kī dahlīz par mujhe
niklegā kaise shaḳhs vo mere gumān se
ham ko tumhārī zulfoñ kī 'ādat bhī yuuñ paḌī
lagne lagī hai aañch hameñ sā.ebān se
sayyād ne havā meñ lagāyā hai aisā jaal
Darne lage haiñ saare parinde uḌaan se
bas gahrī niiñd ham ko sulānā na zindagī
kab ham ne haar maanī kisī imtihān se
is film meñ bhī koī maza ab nahīñ rahā
jab se vo shaḳhs rūThā hai is dāstān se
TuTa hua hai lakh safar ki thakan se
sahra-naward kaise kahe aasman se
diwar-o-dar se aage bhi duniya hai ek meri
ek shaKHs kah raha tha ye apne makan se
hosh-o-hawas sath hi dete nahin mera
mehman ek jab se gaya hai makan se
le aaya hai jo hijr ki dahliz par mujhe
niklega kaise shaKHs wo mere guman se
hum ko tumhaari zulfon ki 'adat bhi yun paDi
lagne lagi hai aanch hamein saeban se
sayyaad ne hawa mein lagaya hai aisa jal
Darne lage hain sare parinde uDan se
bas gahri nind hum ko sulana na zindagi
kab hum ne haar mani kisi imtihan se
is film mein bhi koi maza ab nahin raha
jab se wo shaKHs ruTha hai is dastan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.