TuTa jo phul shaKH se taza nahin hua
TuuTā jo phuul shāḳh se taaza nahīñ huā
marne ke baa'd meñ koī zinda nahīñ huā
tanhā.iyoñ kī dhuup ne jhulsā diyā badan
ham par kisī kī zulf kā saaya nahīñ huā
itnā buland ho gayā majbūriyoñ kā qad
donoñ taraf se ek bhī shikva nahīñ huā
muddat huī ki dard kī lazzat na kam huī
piitā rahā sharāb maiñ nashsha nahīñ huā
ab tak hamāre paañv meñ Thokar nahīñ lagī
ab tak hamāre saath meñ dhoka nahīñ huā
āshiq kī badduā kā asar dekh lījiye
us bevafā kā aaj bhī rishta nahīñ huā
ġhairoñ se kyā umiid rakhī jā.egī bhalā
ham se hamāre dard pe girya nahīñ huā
kis darja ḳhush-mizāj haiñ ham ham se pūchhiye
apne hī qātiloñ pe bhī hamla nahīñ huā
jitnī hamāre dil ne tabāhī machā.ī hai
utnā to us kī zaat se ḳhatra nahīñ huā
ham mustaqil-mizāj savālī haiñ is liye
ḳhākī hamārī fikr kā kaasa nahīñ huā
tum kyā kisī ko ishq ke ma.ānī batāoge
goyā tumhārā sar sar-e-neza nahīñ huā
itnā ulajh gayā hai mire sher meñ vo shaḳhs
itnā ke us se Thiik se charba nahīñ huā
baḌh kar udāsiyoñ ko gale se lagā liyā
'mehvar' shab-e-firāq pe ġhussa nahīñ huā
TuTa jo phul shaKH se taza nahin hua
marne ke ba'd mein koi zinda nahin hua
tanhaiyon ki dhup ne jhulsa diya badan
hum par kisi ki zulf ka saya nahin hua
itna buland ho gaya majburiyon ka qad
donon taraf se ek bhi shikwa nahin hua
muddat hui ki dard ki lazzat na kam hui
pita raha sharab main nashsha nahin hua
ab tak hamare panw mein Thokar nahin lagi
ab tak hamare sath mein dhoka nahin hua
aashiq ki baddua ka asar dekh lijiye
us bewafa ka aaj bhi rishta nahin hua
ghairon se kya umid rakhi jaegi bhala
hum se hamare dard pe girya nahin hua
kis darja KHush-mizaj hain hum hum se puchhiye
apne hi qatilon pe bhi hamla nahin hua
jitni hamare dil ne tabahi machai hai
utna to us ki zat se KHatra nahin hua
hum mustaqil-mizaj sawali hain is liye
KHaki hamari fikr ka kasa nahin hua
tum kya kisi ko ishq ke maani bataoge
goya tumhaara sar sar-e-neza nahin hua
itna ulajh gaya hai mere sher mein wo shaKHs
itna ke us se Thik se charba nahin hua
baDh kar udasiyon ko gale se laga liya
'mehwar' shab-e-firaq pe ghussa nahin hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.