TuTa phuTa sahi ehsas-e-ana hai mujh mein
TuTa phuTa sahi ehsas-e-ana hai mujh mein
Indr Swarup Srivastava
MORE BYIndr Swarup Srivastava
TuuTā phūTā sahī ehsās-e-anā hai mujh meñ
aisā lagtā hai koī aur chhupā hai mujh meñ
kirchiyāñ shīshe kī paikar meñ nihāñ haiñ mere
aks-dar-aks koī sañg-numā hai mujh meñ
ab vo shorīda-sarī hai na vo jazboñ kī sadā
bas ufuq-tā-ba-ufuq ek ḳhalā hai mujh meñ
ḳhvāb-dar-ḳhvāb mirā phūloñ kī vaadī kā safar
aañkh khul jaa.e to ik dasht-e-balā hai mujh meñ
satvat-e-jabr vahī rañg kī dīvār vahī
ek ehsās hai jo mujh se sivā hai mujh meñ
har nafas merā sulagte hue ḳhvāboñ kā dhuāñ
ārzūoñ kā koī shahr jalā hai mujh meñ
suntā rahtā huuñ maiñ mazlūm kī chīḳheñ bhī 'sarūp'
yā ki paikar kisī qātil kā chubhā hai mujh meñ
TuTa phuTa sahi ehsas-e-ana hai mujh mein
aisa lagta hai koi aur chhupa hai mujh mein
kirchiyan shishe ki paikar mein nihan hain mere
aks-dar-aks koi sang-numa hai mujh mein
ab wo shorida-sari hai na wo jazbon ki sada
bas ufuq-ta-ba-ufuq ek KHala hai mujh mein
KHwab-dar-KHwab mera phulon ki wadi ka safar
aankh khul jae to ek dasht-e-bala hai mujh mein
satwat-e-jabr wahi rang ki diwar wahi
ek ehsas hai jo mujh se siwa hai mujh mein
har nafas mera sulagte hue KHwabon ka dhuan
aarzuon ka koi shahr jala hai mujh mein
sunta rahta hun main mazlum ki chiKHen bhi 'sarup'
ya ki paikar kisi qatil ka chubha hai mujh mein
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 446)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.