TuTa tha aasman se tara kahan gaya
TuuTā thā āsmān se taarā kahāñ gayā
DhūñDā bahut use vo bichāra kahāñ gayā
us ne kahā thā sehr nasīboñ meñ hai tire
palkoñ ye sub.h kā thā sitārā kahāñ gayā
sadiyoñ ke is makāñ meñ bahut der tak rahā
mujh meñ jo thā vo sirf tumhārā kahāñ gayā
biite dinoñ kī raakh abhī tak hai garm-tar
sho'la diyā thā us meñ hamārā kahāñ gayā
baiThe the jis dukāñ ke thaḌe par tamām 'umr
ab dekhte haiñ us kā sahārā kahāñ gayā
detā thā jo sadā dar-e-hijrāñ pe raat bhar
galiyoñ meñ phir rahā thā jo maarā kahāñ gayā
uThThā hai dhaḌkanoñ kā 'ajab shor be-panāh
vo ās-pās thā jo hamārā kahāñ gayā
'altāf' shahr ghuum ke aayā huuñ aaj phir
vo log haiñ kahāñ vo shikārā kahāñ gayā
TuTa tha aasman se tara kahan gaya
DhunDa bahut use wo bichaara kahan gaya
us ne kaha tha sehr nasibon mein hai tere
palkon ye subh ka tha sitara kahan gaya
sadiyon ke is makan mein bahut der tak raha
mujh mein jo tha wo sirf tumhaara kahan gaya
bite dinon ki rakh abhi tak hai garm-tar
sho'la diya tha us mein hamara kahan gaya
baiThe the jis dukan ke thaDe par tamam 'umr
ab dekhte hain us ka sahaara kahan gaya
deta tha jo sada dar-e-hijran pe raat bhar
galiyon mein phir raha tha jo mara kahan gaya
uThTha hai dhaDkanon ka 'ajab shor be-panah
wo aas-pas tha jo hamara kahan gaya
'altaf' shahr ghum ke aaya hun aaj phir
wo log hain kahan wo shikara kahan gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.