TuTa tilism-e-waqt to kya dekhta hun main
TuuTā tilism-e-vaqt to kyā dekhtā huuñ maiñ
ab tak usī jagah pe akelā khaḌā huuñ maiñ
ye kashmakash alag hai ki kis kashmakash meñ huuñ
aatā nahīñ samajh meñ bahut sochtā huuñ maiñ
maiñ ahl to nahīñ huuñ ki dekhe koī magar
duniyā mujhe bhī dekh tirā aa.inā huuñ maiñ
aksar ġhurūr-e-fikr jab utrā dimāġh se
maiñ dañg rah gayā ki ye kyā likh gayā huuñ maiñ
merā kalām vah.i nahīñ hai to phir mujhe
ye zo'm kyuuñ na ho ki ḳhud apnā ḳhudā huuñ maiñ
mujh se nahīñ use mire fardā se hai umiid
manzil se koī aur faqat rāsta huuñ maiñ
kyā fā.eda mujhe jo palaT kar javāb duuñ
apne liye kahāñ huuñ burā yā bhalā huuñ maiñ
ġhāfil ab aur kyā huuñ kisī se ki 'umr bhar
āvārgī kī god meñ sotā rahā huuñ maiñ
kyā ye jagah hai jis kī tamannā meñ aaj tak
din raat shahr shahr bhaTaktā phirā huuñ maiñ
mash.al-ba-dast ghūmte guzrī hai ek 'umr
ab kis ke intizār meñ Thahrā huā huuñ maiñ
TuTa tilism-e-waqt to kya dekhta hun main
ab tak usi jagah pe akela khaDa hun main
ye kashmakash alag hai ki kis kashmakash mein hun
aata nahin samajh mein bahut sochta hun main
main ahl to nahin hun ki dekhe koi magar
duniya mujhe bhi dekh tera aaina hun main
aksar ghurur-e-fikr jab utra dimagh se
main dang rah gaya ki ye kya likh gaya hun main
mera kalam wahi nahin hai to phir mujhe
ye zo'm kyun na ho ki KHud apna KHuda hun main
mujh se nahin use mere farda se hai umid
manzil se koi aur faqat rasta hun main
kya faeda mujhe jo palaT kar jawab dun
apne liye kahan hun bura ya bhala hun main
ghafil ab aur kya hun kisi se ki 'umr bhar
aawargi ki god mein sota raha hun main
kya ye jagah hai jis ki tamanna mein aaj tak
din raat shahr shahr bhaTakta phira hun main
mashal-ba-dast ghumte guzri hai ek 'umr
ab kis ke intizar mein Thahra hua hun main
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 33)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.