TuTe aaine ko kya ghar mein sajaana achchha
TuuTe ā.īne ko kyā ghar meñ sajānā achchhā
ruuh ke ghaav ko duniyā se chhupānā achchhā
un se kah do ki hameñ ab na satānā achchhā
jo ta.alluq sazā ban jaa.e miTānā achchhā
faisla dil se karo saath jo chalnā hai mire
sar ko iqrār meñ bas tum na hilānā achchhā
dījiye umr-darāzī kī duā.eñ na mujhe
ḳhaar se dāman-e-dil jaldī chhuḌānā achchhā
ḳhāk-e-ulfat ko liye sar pe kyoñ gulshan meñ rahūñ
dil meñ vahshat ho to sahrā meñ hī jaanā achchhā
rishta-e-ḳhvāb se kab ḳhud ko judā kar paa.ī
shab guzarne kā yahī ik hai bahānā achchhā
teġh gardan pe thī yuuñ shaah kī tārīf karī
kitnā mushkil thā burā.ī ko batānā achchhā
dil-e-bīmār ko phir izn-e-safar kyā detī
ek ma.azūr ko ab kitnā bhagāna achchhā
jab talak paḌhne ke qābil rahā vo ḳhat rakkhā
jis kī tahrīr miTe us ko jalānā achchhā
vo 'tabassum' ko bhulā baiThā tumheñ kaise ḳhabar
mujh ko afvāh meñ bhī sach hī sunānā achchhā
tan-e-mazrūb liye bazm meñ muskātī rahī
ghar kī izzat ke liye sab thā dikhānā achchhā
TuTe aaine ko kya ghar mein sajaana achchha
ruh ke ghaw ko duniya se chhupana achchha
un se kah do ki hamein ab na satana achchha
jo talluq saza ban jae miTana achchha
faisla dil se karo sath jo chalna hai mere
sar ko iqrar mein bas tum na hilana achchha
dijiye umr-daraazi ki duaen na mujhe
KHar se daman-e-dil jaldi chhuDana achchha
KHak-e-ulfat ko liye sar pe kyon gulshan mein rahun
dil mein wahshat ho to sahra mein hi jaana achchha
rishta-e-KHwab se kab KHud ko juda kar pai
shab guzarne ka yahi ek hai bahana achchha
tegh gardan pe thi yun shah ki tarif kari
kitna mushkil tha burai ko batana achchha
dil-e-bimar ko phir izn-e-safar kya deti
ek mazur ko ab kitna bhagana achchha
jab talak paDhne ke qabil raha wo KHat rakkha
jis ki tahrir miTe us ko jalana achchha
wo 'tabassum' ko bhula baiTha tumhein kaise KHabar
mujh ko afwah mein bhi sach hi sunana achchha
tan-e-mazrub liye bazm mein muskati rahi
ghar ki izzat ke liye sab tha dikhana achchha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.