TuTe hain aainon ki tarah bar bar hum
TuuTe haiñ ā.inoñ kī tarah baar baar ham
ḳhud par hue haiñ jab bhī kabhī āshkār ham
hote haiñ terī yaad meñ jab be-qarār ham
rote haiñ pahroñ baiTh ke be-iḳhtiyār ham
terī hañsī kā qarz chukāne ke vāste
chhup chhup ke rote rahte haiñ zār-o-qatār ham
dil bhar gayā hai karb-e-musalsal se ai ḳhudā
ab DhūñDte haiñ har ghaḌī rāh-e-farār ham
murjhā ga.e haiñ shāḳh-e-tamannā ke gul sabhī
ab kyā manā.eñ 'mīnā' ye jashn-e-bahār ham
TuTe hain aainon ki tarah bar bar hum
KHud par hue hain jab bhi kabhi aashkar hum
hote hain teri yaad mein jab be-qarar hum
rote hain pahron baiTh ke be-iKHtiyar hum
teri hansi ka qarz chukane ke waste
chhup chhup ke rote rahte hain zar-o-qatar hum
dil bhar gaya hai karb-e-musalsal se ai KHuda
ab DhunDte hain har ghaDi rah-e-farar hum
murjha gae hain shaKH-e-tamanna ke gul sabhi
ab kya manaen 'mina' ye jashn-e-bahaar hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.