TuTe hue diye ko sunsan shab mein rakkha
TuuTe hue diye ko sunsān shab meñ rakkhā
us par mirī zabāñ ko hadd-e-adab meñ rakkhā
kis ne sikhāyā saa.il ko bhuuk kā tarāna
phir kis ne lā ke kaasa dast-e-talab meñ rakkhā
muflis kī chhat ke nīche kumhlā ga.e haiñ bachche
phūloñ ko lā ke kis ne chashm-e-ġhazab meñ rakkhā
parvardigār ne to taqvā kī baat kī thī
tum ne fazīlatoñ ko nām-o-nasab meñ rakkhā
dar-asl tum se mil kar maiñ ḳhud se mil sakūñgā
bas ek hī sabab hai dārussabab meñ rakkhā
bas dil kī anjuman hai yādoñ ke nastaran haiñ
ab aur kyā hai baaqī is jāñ-ba-lab meñ rakkhā
'ahmad' meñ baat dil kī kahtā to kis se kahtā
naġhma sukūt kā thā shor-o-shaġhab meñ rakkhā
TuTe hue diye ko sunsan shab mein rakkha
us par meri zaban ko hadd-e-adab mein rakkha
kis ne sikhaya sail ko bhuk ka tarana
phir kis ne la ke kasa dast-e-talab mein rakkha
muflis ki chhat ke niche kumhla gae hain bachche
phulon ko la ke kis ne chashm-e-ghazab mein rakkha
parwardigar ne to taqwa ki baat ki thi
tum ne fazilaton ko nam-o-nasab mein rakkha
dar-asl tum se mil kar main KHud se mil sakunga
bas ek hi sabab hai darussabab mein rakkha
bas dil ki anjuman hai yaadon ke nastaran hain
ab aur kya hai baqi is jaan-ba-lab mein rakkha
'ahmad' mein baat dil ki kahta to kis se kahta
naghma sukut ka tha shor-o-shaghab mein rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.