TuTi hui qabron mein kahin the ki nahin the
TuuTī huī qabroñ meñ kahīñ the ki nahīñ the
sab ahl-e-havas zer-e-zamīñ the ki nahīñ the
dībācha-e-imkān meñ rakh chhoḌne vaale
ham log batā ahl-e-yaqīñ the ki nahīñ the
dukh oḌh ke rone ke adākār mire yaar
tum merī mohabbat ke amiiñ the ki nahīñ the
jo ḳhvāb tasalsul se mujhe noch rahe haiñ
vo ḳhvāb tire dil ke makīñ the ki nahīñ the
ai tā.ir-e-lāhūt ġham-e-ḳhāk-basar par
hangāme sar-e-arsh-e-barīñ the ki nahīñ the
us būḌhī pujāran ke ḳhad-o-ḳhāl se pūchho
but us kī tamanna ke hasīñ the ki nahīñ the
TuTi hui qabron mein kahin the ki nahin the
sab ahl-e-hawas zer-e-zamin the ki nahin the
dibacha-e-imkan mein rakh chhoDne wale
hum log bata ahl-e-yaqin the ki nahin the
dukh oDh ke rone ke adakar mere yar
tum meri mohabbat ke amin the ki nahin the
jo KHwab tasalsul se mujhe noch rahe hain
wo KHwab tere dil ke makin the ki nahin the
ai tair-e-lahut gham-e-KHak-basar par
hangame sar-e-arsh-e-barin the ki nahin the
us buDhi pujaran ke KHad-o-KHal se puchho
but us ki tamanna ke hasin the ki nahin the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.