TuTna yar KHwab aankhon ka
TūTnā yaar ḳhvāb āñkhoñ kā
hai mukammal azaab āñkho kā
kitne manzar sameT saktā hai
ik Tapaktā sā aab āñkhoñ kā
mil ga.ī us kī diid āñkhoñ ko
pā liyā hai savāb āñkhoñ kā
ik chamelī to mere dil kī hai
aur hai ik gulāb āñkhoñ kā
dil kī bāteñ to lab se kah dī haiñ
dījiye ab hisāb āñkhoñ kā
kitne bīmār-hāl achchhe hoñ
uTh jo jaa.e naqāb āñkhoñ kā
muuñd lī aaj ham ne ye āñkheñ
kar ke saarā hisāb āñkhoñ kā
un se bas ḳhvāb hī baneñge aur
kyā banegā janāb āñkhoñ kā
TuTna yar KHwab aankhon ka
hai mukammal azab aankho ka
kitne manzar sameT sakta hai
ek Tapakta sa aab aankhon ka
mil gai us ki did aankhon ko
pa liya hai sawab aankhon ka
ek chameli to mere dil ki hai
aur hai ek gulab aankhon ka
dil ki baaten to lab se kah di hain
dijiye ab hisab aankhon ka
kitne bimar-haal achchhe hon
uTh jo jae naqab aankhon ka
mund li aaj hum ne ye aankhen
kar ke sara hisab aankhon ka
un se bas KHwab hi banenge aur
kya banega janab aankhon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.