TuTne ka dard kya hai KHwahishon se puchhiye
TūTne kā dard kyā hai ḳhvāhishoñ se pūchhiye
dard kī gahrā.ī bahte āñsuoñ se pūchhiye
sub.h kā sūraj kabhī kuchh bhī batā.egā nahīñ
syaah rātoñ kī haqīqat jugnuoñ se pūchhiye
samt kyā ho ye havā ne tai kiyā hai bārhā
hijr kī taklīf kyā hai ḳhushbuoñ se pūchhiye
hai pata sāhil ko utnā jo batāyā mauj ne
haal dariyā kā hamesha machhliyoñ se pūchhiye
jo zamīñ meñ rah rahī haiñ un jaḌoñ ko kyā pata
āñdhiyoñ kā ḳhauf ūñchī Tahniyoñ se pūchhiye
TuTne ka dard kya hai KHwahishon se puchhiye
dard ki gahrai bahte aansuon se puchhiye
subh ka suraj kabhi kuchh bhi bataega nahin
syah raaton ki haqiqat jugnuon se puchhiye
samt kya ho ye hawa ne tai kiya hai barha
hijr ki taklif kya hai KHushbuon se puchhiye
hai pata sahil ko utna jo bataya mauj ne
haal dariya ka hamesha machhliyon se puchhiye
jo zamin mein rah rahi hain un jaDon ko kya pata
aandhiyon ka KHauf unchi Tahniyon se puchhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.