TuTte girte nagar mein sab hue na-ashna
TūTte girte nagar meñ sab hue nā-āshnā
bastī bastī DhūñDhiye ab ek chehra āshnā
yaañ to sab ko apnī hī pahchān dūbhar ho chalī
andhe bahroñ ke nagar meñ kaun kis kā āshnā
be-basīrat ham the maanā muḳhlisoñ kī bhiiḌ meñ
tum ne pahchānā kisī ko tum ne paayā āshnā
sard-mehrī kī ridā oḌhe hue hai bashar
kyā koī apnā shanāsā kyā koī nā-āshnā
ham ko sab ma.alūm hai hone ko hai kyā is ke baad
tum tamāshā-gar ho sāhab ham tamāshā-āshnā
koī to aisā bhī ho 'arshad' jise maiñ kah sakūñ
merī shaḳhsiyyat kā pārakh mere ġham kā āshnā
TuTte girte nagar mein sab hue na-ashna
basti basti DhunDhiye ab ek chehra aashna
yan to sab ko apni hi pahchan dubhar ho chali
andhe bahron ke nagar mein kaun kis ka aashna
be-basirat hum the mana muKHlison ki bhiD mein
tum ne pahchana kisi ko tum ne paya aashna
sard-mehri ki rida oDhe hue hai bashar
kya koi apna shanasa kya koi na-ashna
hum ko sab malum hai hone ko hai kya is ke baad
tum tamasha-gar ho sahab hum tamasha-ashna
koi to aisa bhi ho 'arshad' jise main kah sakun
meri shaKHsiyyat ka parakh mere gham ka aashna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.