TuTte hi rahne ka silsila diya mujhko
TūTte hī rahne kā silsila diyā mujh ko
us ne zindagī to dī par rulā diyā mujh ko
sochtā huuñ kis-kis ko yaad rakkhūñ duniyā meñ
kuchh na kuchh sabhī ne hai tajraba diyā mujh ko
hārne lagā thā vo mujh se laḌte-laḌte jab
us ne duniyā kī nazroñ meñ harā diyā mujh ko
ham ne hī sikhāyā jis ko salīqa jalne kā
ek shab usī diye ne bujhā diyā mujh ko
maiñ ne sab se kal maiḳhāne kā rasta pūchhā thā
sab ne us kī āñkhoñ kā hī pata diyā mujh ko
kaise maiñ zamāne kī nazroñ se guzar paatā
sach thā maiñ sabhī ne mil kar dabā diyā mujh ko
TuTte hi rahne ka silsila diya mujh ko
us ne zindagi to di par rula diya mujh ko
sochta hun kis-kis ko yaad rakkhun duniya mein
kuchh na kuchh sabhi ne hai tajraba diya mujh ko
haarne laga tha wo mujh se laDte-laDte jab
us ne duniya ki nazron mein hara diya mujh ko
hum ne hi sikhaya jis ko saliqa jalne ka
ek shab usi diye ne bujha diya mujh ko
main ne sab se kal maiKHane ka rasta puchha tha
sab ne us ki aankhon ka hi pata diya mujh ko
kaise main zamane ki nazron se guzar pata
sach tha main sabhi ne mil kar daba diya mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.