ubharne Dubne ka majra likkha hua hai
ubharne Dūbne kā mājrā likkhā huā hai
hathelī par hamārā faisla likkhā huā hai
ham apnī bad-gumānī duur bhī kar leñge lekin
hamāre darmiyāñ jo fāsla likkhā huā hai
Thahar kar sochnā āḳhir kahāñ tak chal sakoge
mirī āvārgī ko rāsta likkhā huā hai
mire maulā tirī duniyā siyāsat chāhtī hai
mire hisse meñ kaisā tajraba likkhā huā hai
abhī rahne de mere shahr-e-jāñ apne taqāze
abhī kuchh rabt sahrā se mirā likkhā huā hai
khañDar se ab koī āvāz aa.e yā na aa.e
magar dīvār par dekho to kyā likkhā huā hai
bhaTakne kī koī sūrat nikaltī hī kahāñ hai
jahāñ jis samt jab dekho ḳhudā likkhā huā hai
ubharne Dubne ka majra likkha hua hai
hatheli par hamara faisla likkha hua hai
hum apni bad-gumani dur bhi kar lenge lekin
hamare darmiyan jo fasla likkha hua hai
Thahar kar sochna aaKHir kahan tak chal sakoge
meri aawargi ko rasta likkha hua hai
mere maula teri duniya siyasat chahti hai
mere hisse mein kaisa tajraba likkha hua hai
abhi rahne de mere shahr-e-jaan apne taqaze
abhi kuchh rabt sahra se mera likkha hua hai
khanDar se ab koi aawaz aae ya na aae
magar diwar par dekho to kya likkha hua hai
bhaTakne ki koi surat nikalti hi kahan hai
jahan jis samt jab dekho KHuda likkha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.