ubhre jo KHak se wo tah-e-KHak ho gae
ubhre jo ḳhaak se vo tah-e-ḳhāk ho ga.e
sab pā.emāl-e-gardish-e-aflāk ho ga.e
rakhtī thī laag mere garebāñ se nau-bahār
dāman guloñ ke baaġh meñ kyuuñ chaak ho ga.e
the dīda-hā-e-ḳhushk mohabbat kī aabrū
kam-baḳht un ke sāmne namnāk ho ga.e
aisā bhī kyā mizāj qayāmat kā din hai aaj
pesh-e-ḳhudā tum aur bhī bebāk ho ga.e
aate hī bazm-e-vāz se chalte bane 'hafīz'
do harf sun ke sāhib-e-idrāk ho ga.e
ubhre jo KHak se wo tah-e-KHak ho gae
sab paemal-e-gardish-e-aflak ho gae
rakhti thi lag mere gareban se nau-bahaar
daman gulon ke bagh mein kyun chaak ho gae
the dida-ha-e-KHushk mohabbat ki aabru
kam-baKHt un ke samne namnak ho gae
aisa bhi kya mizaj qayamat ka din hai aaj
pesh-e-KHuda tum aur bhi bebak ho gae
aate hi bazm-e-waz se chalte bane 'hafiz'
do harf sun ke sahib-e-idrak ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.