uchaTti si nazar ke sath mubham sa payam aaya
uchaTtī sī nazar ke saath mub.ham sā payām aaya
ka.ī mafhūm le kar ek harf-e-nā-tamām aaya
tasavvur kī nazar bhī jhuk ga.ī ta.azīm dene ko
taḳhayyul ke ufuq par kaun sā māh-e-tamām aaya
muḳhātab maiñ na thā lekin yahī ehsās hotā hai
ki mujh tak baar baar un kī nigāhoñ kā payām aaya
rahī jis kī nazar sayyād kī ek ek harakat par
vahī kam-baḳht taa.ir adbadā kar zer-e-dām aaya
tumhārī yaad jab aa.ī to aa.ī kaif-e-mai ban kar
tumhārā zikr jab aaya to ban kar daur-e-jām aaya
mubārak jazb-e-ulfat aaj to vo merī bālīñ par
ba-ġharz-e-guftugū aaya ba-ummīd-e-kalām aaya
uchaTti si nazar ke sath mubham sa payam aaya
kai mafhum le kar ek harf-e-na-tamam aaya
tasawwur ki nazar bhi jhuk gai tazim dene ko
taKHayyul ke ufuq par kaun sa mah-e-tamam aaya
muKHatab main na tha lekin yahi ehsas hota hai
ki mujh tak bar bar un ki nigahon ka payam aaya
rahi jis ki nazar sayyaad ki ek ek harakat par
wahi kam-baKHt tair adbada kar zer-e-dam aaya
tumhaari yaad jab aai to aai kaif-e-mai ban kar
tumhaara zikr jab aaya to ban kar daur-e-jam aaya
mubarak jazb-e-ulfat aaj to wo meri baalin par
ba-gharz-e-guftugu aaya ba-ummid-e-kalam aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.