uchhalti kudti bahki hui hai
uchhaltī kūdtī bahkī huī hai
pahāḌoñ se nadī niklī huī hai
fanā ho jā.eñge lamhoñ meñ ham tum
ki duniyā aag par rakkhī huī hai
zarā sī baat par hangāma itnā
ye sāzish kyā koī sochī huī hai
zabāñ par aag lahje meñ sharāre
añgīThī husn kī dahkī huī hai
diye kirdār ke raushan hī rakhnā
havā kuchh duur par Thahrī huī hai
jagāo mat use 'jāved' hargiz
vo ḳhvāboñ se abhī lipTī huī hai
uchhalti kudti bahki hui hai
pahaDon se nadi nikli hui hai
fana ho jaenge lamhon mein hum tum
ki duniya aag par rakkhi hui hai
zara si baat par hangama itna
ye sazish kya koi sochi hui hai
zaban par aag lahje mein sharare
angiThi husn ki dahki hui hai
diye kirdar ke raushan hi rakhna
hawa kuchh dur par Thahri hui hai
jagao mat use 'jawed' hargiz
wo KHwabon se abhi lipTi hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.