uD chaloge jo hue chehre pe gesu paida
uḌ chaloge jo hue chehre pe gesū paidā
tā.ir-e-husn karegā par-o-bāzū paidā
laakh dil chiir ke yak-laḳht jigar aatā hai
āñkheñ sau phoḌ ke ik hotā hai aañsū paidā
ashk-ālūda haiñ kyā kyā mirī mizhgān-e-darāz
dīda-e-tar ne kiye sarv-e-lab-e-jū paidā
bahr-e-qur.āñ to banānā thā ġhHilāf-e-qur.āñ
mus.haf-e-ruḳh pe ḳhudā ne kiye gesū paidā
na ye shoḳhī na ye vahshat na ye ġhamza na ye naaz
kyā ġhazālān-e-haram karte tirī ḳhū paidā
laakh fitnoñ se banāyā hai sarāpā terā
sau qayāmat se kiyā hai qad-e-dil-jū paidā
dhukdhukī dekhiye kis kis kā galā ghoñTegī
daaġh kyā kyā na karegā tirā jugnū paidā
mere vo haath jo ik din na ga.e paañv talak
merā vo sar hai ki jis ko nahīñ zaanū paidā
ab liyā chāhtā hai ashk tire chehre se rang
ab kiyā chāhtā hai daaġh tirī bū paidā
dard sā miltā hai kab mūnis-e-jān-e-ġhamnāk
zo.af sā hotā hai kab quvvat-e-bāzū paidā
be-muravvat haiñ zamāne ke hasīñ ai 'sho.ala'
dil-lagī kā nahīñ hotā koī pahlū paidā
uD chaloge jo hue chehre pe gesu paida
tair-e-husn karega par-o-bazu paida
lakh dil chir ke yak-laKHt jigar aata hai
aankhen sau phoD ke ek hota hai aansu paida
ashk-aluda hain kya kya meri mizhgan-e-daraaz
dida-e-tar ne kiye sarw-e-lab-e-ju paida
bahr-e-quran to banana tha ghHilaf-e-quran
mushaf-e-ruKH pe KHuda ne kiye gesu paida
na ye shoKHi na ye wahshat na ye ghamza na ye naz
kya ghazalan-e-haram karte teri KHu paida
lakh fitnon se banaya hai sarapa tera
sau qayamat se kiya hai qad-e-dil-ju paida
dhukdhuki dekhiye kis kis ka gala ghonTegi
dagh kya kya na karega tera jugnu paida
mere wo hath jo ek din na gae panw talak
mera wo sar hai ki jis ko nahin zanu paida
ab liya chahta hai ashk tere chehre se rang
ab kiya chahta hai dagh teri bu paida
dard sa milta hai kab munis-e-jaan-e-ghamnak
zoaf sa hota hai kab quwwat-e-bazu paida
be-murawwat hain zamane ke hasin ai 'shoala'
dil-lagi ka nahin hota koi pahlu paida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.