uDa kar kag shishe se mai-e-gul-gun nikalti hai
uḌā kar kaag shīshe se mai-e-gul-gūñ nikaltī hai
sharābī jam.a haiñ mai-ḳhāna meñ Topī uchhaltī hai
bahār-e-mai-kashī aa.ī chaman kī rut badaltī hai
ghaTā mastāna uThtī hai havā mastāna chaltī hai
za-ḳhud-rafta tabī.at kab sambhāle se sambhaltī hai
na ban aatī hai nāseh se na kuchh vaa.iz kī chaltī hai
ye kis kī hai tamannā chuTkiyāñ letī hai jo dil meñ
ye kis kī aarzū hai jo kaleje ko masaltī hai
vo dīvāna hai jo is fasl meñ fasdeñ na khulvā.e
rag-e-har-shāḳh-e-gul se ḳhuun kī naddī ubaltī hai
sahar hote hī dam niklā ġhash aate hī ajal aa.ī
kahāñ huuñ maiñ nasīm-e-sub.h pañkhā kis ko jhaltī hai
tamatto ek kā hai ek ke nuqsāñ se aalam meñ
ki saaya phailtā jaatā hai juuñ juuñ dhuup Dhaltī hai
binā rakkhī hai ġham par ziist kī ye ho gayā sābit
na lapkā aah kā chhūTegā jab tak saañs chaltī hai
qarār ik dam nahīñ aatā hai ḳhūn-e-be-gunah pī kar
ki ab to ḳhud ba-ḳhud talvār rah rah kar ugaltī hai
jahannam kī na aañch aa.egī mai-ḳhvāroñ pe o vaa.iz
sharāb ālūda ho jo shai vo kab ātish meñ jaltī hai
na dikhlānā ilāhī ek aafat hai shab-e-furqat
na jo kaaTe se kaTtī hai na jo Taale se Taltī hai
ye achchhā shuġhl vahshat meñ nikālā tū ne ai 'haidar'
garebāñ meñ ulajhne se tabī.at to bahaltī hai
uDa kar kag shishe se mai-e-gul-gun nikalti hai
sharabi jama hain mai-KHana mein Topi uchhalti hai
bahaar-e-mai-kashi aai chaman ki rut badalti hai
ghaTa mastana uThti hai hawa mastana chalti hai
za-KHud-rafta tabiat kab sambhaale se sambhalti hai
na ban aati hai naseh se na kuchh waiz ki chalti hai
ye kis ki hai tamanna chuTkiyan leti hai jo dil mein
ye kis ki aarzu hai jo kaleje ko masalti hai
wo diwana hai jo is fasl mein fasden na khulwae
rag-e-har-shaKH-e-gul se KHun ki naddi ubalti hai
sahar hote hi dam nikla ghash aate hi ajal aai
kahan hun main nasim-e-subh pankha kis ko jhalti hai
tamatto ek ka hai ek ke nuqsan se aalam mein
ki saya phailta jata hai jun jun dhup Dhalti hai
bina rakkhi hai gham par zist ki ye ho gaya sabit
na lapka aah ka chhuTega jab tak sans chalti hai
qarar ek dam nahin aata hai KHun-e-be-gunah pi kar
ki ab to KHud ba-KHud talwar rah rah kar ugalti hai
jahannam ki na aanch aaegi mai-KHwaron pe o waiz
sharab aaluda ho jo shai wo kab aatish mein jalti hai
na dikhlana ilahi ek aafat hai shab-e-furqat
na jo kaTe se kaTti hai na jo Tale se Talti hai
ye achchha shughl wahshat mein nikala tu ne ai 'haidar'
gareban mein ulajhne se tabiat to bahalti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.