uDanon ka har ek mauqa sitamgar chhin leta hai
uḌānoñ kā har ik mauqa sitamgar chhīn letā hai
vo mujh ko hausla de ke mire par chhīn letā hai
mujhe ḳhairāt meñ de ke vo apne pyaar ke lamhe
mirī nīñdeñ mire ḳhvāboñ ke manzar chhīn letā hai
kisī ne jaate jaate chhīn lī aisī mirī sāñseñ
ki jaarī saal ko jaise december chhīn letā hai
mizājoñ ko badalne kī hai chāhat is qadar us ko
thamā kar haath meñ ġhunche vo ḳhanjar chhīn letā hai
vo chāhe to atā kar de na ho jo kuchh muqaddar meñ
agar denā na chāhe to vo de kar chhīn letā hai
uDanon ka har ek mauqa sitamgar chhin leta hai
wo mujh ko hausla de ke mere par chhin leta hai
mujhe KHairaat mein de ke wo apne pyar ke lamhe
meri ninden mere KHwabon ke manzar chhin leta hai
kisi ne jate jate chhin li aisi meri sansen
ki jari sal ko jaise december chhin leta hai
mizajon ko badalne ki hai chahat is qadar us ko
thama kar hath mein ghunche wo KHanjar chhin leta hai
wo chahe to ata kar de na ho jo kuchh muqaddar mein
agar dena na chahe to wo de kar chhin leta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.