udas ho gai shabnam jahan sahar aai
udaas ho ga.ī shabnam jahāñ sahar aa.ī
ġham-e-firāq se phūloñ kī aañkh bhar aa.ī
sahar ke saath shab-e-ġham ga.ī magar aa.ī
huī jo shaam to ghar apne lauT kar aa.ī
musāfirān-e-mohabbat ko kuchh ḳhabar hī nahīñ
ki shaam kab ga.ī aa.ī to kab sahar aa.ī
udhār maañg ke yuuñ laa.ī zindagī ḳhushiyāñ
ki jaise shāhid-e-bāzār maañg bhar aa.ī
tumhārā ġham bhī vahāñ ġham nahīñ rahā ai dost
udaas jab koī sūrat hameñ nazar aa.ī
na āftāb ko thā chain justujū meñ tirī
na niiñd chāñd sitāroñ ko raat bhar aa.ī
tire baġhair bhī guzrī hai zindagī lekin
ḳhushī kī shaam na to sub.h-e-mo'atabar aa.ī
rahe udaas to ham muddatoñ udaas rahe
hañsī jo aa.ī to phir baat baat par aa.ī
patā na chal sakā tārīk rāstoñ kā 'fahīm'
bichhaḌne vāloñ kī ab tak na kuchh ḳhabar aa.ī
udas ho gai shabnam jahan sahar aai
gham-e-firaq se phulon ki aankh bhar aai
sahar ke sath shab-e-gham gai magar aai
hui jo sham to ghar apne lauT kar aai
musafiran-e-mohabbat ko kuchh KHabar hi nahin
ki sham kab gai aai to kab sahar aai
udhaar mang ke yun lai zindagi KHushiyan
ki jaise shahid-e-bazar mang bhar aai
tumhaara gham bhi wahan gham nahin raha ai dost
udas jab koi surat hamein nazar aai
na aaftab ko tha chain justuju mein teri
na nind chand sitaron ko raat bhar aai
tere baghair bhi guzri hai zindagi lekin
KHushi ki sham na to subh-e-mo'atabar aai
rahe udas to hum muddaton udas rahe
hansi jo aai to phir baat baat par aai
pata na chal saka tarik raston ka 'fahim'
bichhaDne walon ki ab tak na kuchh KHabar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.