udas itna ki jaise kabhi hansa hi nahin
udaas itnā ki jaise kabhī hañsā hī nahīñ
vo shaḳhs mujh se to sach hai ki boltā hī nahīñ
mujhe bhī saath hī rakhnā safar kī gardish meñ
baḌhūñ jo ḳhud kisī jānib ye hausla hī nahīñ
salāḳheñ garm karo jism daaġh kar dekho
mirā vajūd kisī ġham se khaultā hī nahīñ
kaheñ to kis se ki ham dukh kī dāstāñ Thahre
nagar meñ koī kahīñ ham-zabāñ rahā hī nahīñ
maiñ us ko qatl kiye phir rahā huuñ barsoñ se
kahāñ pe dafn karūñ nā'sh sūjhtā hī nahīñ
mirā ḳhulūs jo dekho to dushmanī bhūlo
kahoge 'soz' sā yaaro kahīñ milā hī nahīñ
udas itna ki jaise kabhi hansa hi nahin
wo shaKHs mujh se to sach hai ki bolta hi nahin
mujhe bhi sath hi rakhna safar ki gardish mein
baDhun jo KHud kisi jaanib ye hausla hi nahin
salaKHen garm karo jism dagh kar dekho
mera wajud kisi gham se khaulta hi nahin
kahen to kis se ki hum dukh ki dastan Thahre
nagar mein koi kahin ham-zaban raha hi nahin
main us ko qatl kiye phir raha hun barson se
kahan pe dafn karun na'sh sujhta hi nahin
mera KHulus jo dekho to dushmani bhulo
kahoge 'soz' sa yaro kahin mila hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.