udas kamre ke kone kone mein jaise ghussa paDa hua hai
udaas kamre ke kone kone meñ jaise ġhussa paḌā huā hai
ye cup meñ chaa.e nahīñ hai parsoñ se ek lamha paḌā huā hai
hamārī bastī ke saare baasī na.e safar par nikal paḌe haiñ
purānī chaupāl meñ purānī parī kā qissa paḌā huā hai
adhūrī ulfat kā raaz hai ye ki sab adhūre hī rah ga.e haiñ
ye zard pattoñ meñ aadhā cigarette nahīñ hai misra paḌā huā hai
bichhaḌne vaale kī chārpā.ī se merī nazreñ lipaT ga.ī haiñ
kise ḳhabar hai ki chārpā.ī pe ek sadma paḌā huā hai
tumhārī jānib maiñ chalte chalte ab is dorāhe pe aa khaḌā huuñ
jahāñ pe aane na aane ke biich ek arsa paḌā huā hai
udas kamre ke kone kone mein jaise ghussa paDa hua hai
ye cup mein chae nahin hai parson se ek lamha paDa hua hai
hamari basti ke sare basi nae safar par nikal paDe hain
purani chaupal mein purani pari ka qissa paDa hua hai
adhuri ulfat ka raaz hai ye ki sab adhure hi rah gae hain
ye zard patton mein aadha cigarette nahin hai misra paDa hua hai
bichhaDne wale ki chaarpai se meri nazren lipaT gai hain
kise KHabar hai ki chaarpai pe ek sadma paDa hua hai
tumhaari jaanib main chalte chalte ab is dorahe pe aa khaDa hun
jahan pe aane na aane ke bich ek arsa paDa hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.