udas kar ke dariche nae makanon ke
udaas kar ke darīche na.e makānoñ ke
sitāre Duub ga.e sabz āsmānoñ ke
ga.ī vo shab jo kabhī ḳhatm hī na hotī thī
havā.eñ le ga.iiñ aurāq dāstānoñ ke
har aan barq chamaktī hai dil dhaḌaktā hai
mirī qamīs pe tinke haiñ āshiyānoñ ke
tire sukūt se vo raaz bhī hue ifshā
ki jin ko kaan taraste the rāz-dānoñ ke
ye baat to jaras-e-shauq ko bhī hai ma.alūm
qadam uTheñ ge to bas tere nā-tavānoñ ke
udas kar ke dariche nae makanon ke
sitare Dub gae sabz aasmanon ke
gai wo shab jo kabhi KHatm hi na hoti thi
hawaen le gain auraq dastanon ke
har aan barq chamakti hai dil dhaDakta hai
meri qamis pe tinke hain aashiyanon ke
tere sukut se wo raaz bhi hue ifsha
ki jin ko kan taraste the raaz-danon ke
ye baat to jaras-e-shauq ko bhi hai malum
qadam uThen ge to bas tere na-tawanon ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.