udas kar ke mujhe muskura rahi ho tum
udaas kar ke mujhe muskurā rahī ho tum
kahāñ kī iiñT kahāñ ab lagā rahī ho tum
fishār-e-ḳhūn to pahle bhī kab hai qaabū meñ
kyoñ is pe aur dabāo baḌhā rahī ho tum
go iḳhtiyār kī hai be-ruḳhī bahut din se
gudāz-e-dil ko magar gudgudā rahī ho tum
bahut nafīs qarīne haiñ vaar karne ke
fareb-e-husn ke fitne jagā rahī ho tum
tumheñ zarā bhī lagāvaT na vasl se thī kabhī
so mere hijr meñ aañsū bahā rahī ho tum
na tum ko farq hai ma.alūm ishq-o-ātish kā
jo 'āftāb' se nazreñ milā rahī ho tum
udas kar ke mujhe muskura rahi ho tum
kahan ki inT kahan ab laga rahi ho tum
fishaar-e-KHun to pahle bhi kab hai qabu mein
kyon is pe aur dabao baDha rahi ho tum
go iKHtiyar ki hai be-ruKHi bahut din se
gudaz-e-dil ko magar gudguda rahi ho tum
bahut nafis qarine hain war karne ke
fareb-e-husn ke fitne jaga rahi ho tum
tumhein zara bhi lagawaT na wasl se thi kabhi
so mere hijr mein aansu baha rahi ho tum
na tum ko farq hai malum ishq-o-atish ka
jo 'aftab' se nazren mila rahi ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.