udas raat hai aur har diya bujha hua hai
udaas raat hai aur har diyā bujhā huā hai
ye hādisa to mire saath bārhā huā hai
kuchh aisā ḳhauf musallat hai āj-kal dil par
siyāh raat se jaise koī Darā huā hai
vo aa.ine se huā rū-barū to chīḳh paḌā
tumhārī vaj.h se jo bhī huā burā huā hai
na.ī tarah ke taqāzoñ kā qufl hai dar par
magar vo vā'da jo dahlīz par paḌā huā hai
ye karb had se ziyāda hai ab jahāñ meñ tire
jahāñ-jahāñ bhī mirā naam thā miTā huā hai
har ek buuñd meñ pinhāñ haiñ dard kī Tīseñ
zarūr bārishoñ meñ ashk bhī milā huā hai
tumhārā mujh se ta'alluq hai māvarā 'māhī'
jo zāhiran to judā hai magar juḌā huā hai
udas raat hai aur har diya bujha hua hai
ye hadisa to mere sath barha hua hai
kuchh aisa KHauf musallat hai aaj-kal dil par
siyah raat se jaise koi Dara hua hai
wo aaine se hua ru-baru to chiKH paDa
tumhaari wajh se jo bhi hua bura hua hai
nai tarah ke taqazon ka qufl hai dar par
magar wo wa'da jo dahliz par paDa hua hai
ye karb had se ziyaada hai ab jahan mein tere
jahan-jahan bhi mera nam tha miTa hua hai
har ek bund mein pinhan hain dard ki Tisen
zarur barishon mein ashk bhi mila hua hai
tumhaara mujh se ta'alluq hai mawara 'mahi'
jo zahiran to juda hai magar juDa hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.