udas rahne ka koi bahana chahta hun
udaas rahne kā koī bahānā chāhtā huuñ
vo lutf ġham ke tire phir se paanā chāhtā huuñ
sunā hai jhuuT nahīñ boltī haiñ ye nazreñ
isī liye maiñ ye nazreñ milānā chāhtā huuñ
nazar nazar meñ hī hotā tamām hai qissa
vo jab bhī dekhe maiñ nazreñ churānā chāhtā huuñ
kabhī kisī ko batāyā nahīñ jatāyā nahīñ
tujhe hī kyoñ vo batānā jatānā chāhtā huuñ
likhā huā hai tirā naam merī rag rag par
lahū bahā ke maiñ is ko miTānā chāhtā huuñ
udas rahne ka koi bahana chahta hun
wo lutf gham ke tere phir se pana chahta hun
suna hai jhuT nahin bolti hain ye nazren
isi liye main ye nazren milana chahta hun
nazar nazar mein hi hota tamam hai qissa
wo jab bhi dekhe main nazren churana chahta hun
kabhi kisi ko bataya nahin jataya nahin
tujhe hi kyon wo batana jatana chahta hun
likha hua hai tera nam meri rag rag par
lahu baha ke main is ko miTana chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.