udas rahne ko to sab udas rahte hain
udaas rahne ko to sab udaas rahte haiñ
mirī tarah se magar kab udaas rahte haiñ
dikhā.ī denā ho jab ḳhush to kyoñ udaas raheñ
udaas rahnā ho jab tab udaas rahte haiñ
purāne Dhang se kal ham udaas rahte the
na.e tarīqe se ham ab udaas rahte haiñ
sahar-tā-shām bahut ḳhush dikhā.ī deñ bhī to kyā
utarne lagtī hai jab shab udaas rahte haiñ
kisī ko rahne nahīñ detī hai ye duniyā ḳhush
udāsī kī hai ye maktab udaas rahte haiñ
udaas rahnā bhī ḳhush rahne ke barābar hai
samajh meñ aa gayā ye jab udaas rahte haiñ
ye chāñd aur sitāre ye phuul aur jugnū
'kamāl' us ke liye sab udaas rahte haiñ
udas rahne ko to sab udas rahte hain
meri tarah se magar kab udas rahte hain
dikhai dena ho jab KHush to kyon udas rahen
udas rahna ho jab tab udas rahte hain
purane Dhang se kal hum udas rahte the
nae tariqe se hum ab udas rahte hain
sahar-ta-sham bahut KHush dikhai den bhi to kya
utarne lagti hai jab shab udas rahte hain
kisi ko rahne nahin deti hai ye duniya KHush
udasi ki hai ye maktab udas rahte hain
udas rahna bhi KHush rahne ke barabar hai
samajh mein aa gaya ye jab udas rahte hain
ye chand aur sitare ye phul aur jugnu
'kamal' us ke liye sab udas rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.