udas thi sham har sitara bujha hua tha
udaas thī shaam har sitāra bujhā huā thā
parinde ġhā.eb the aur jangal jalā huā thā
siyāhī phailī to shāḳh-e-dil par damakne aayā
vo ek jugnū jo raushnī meñ chhupā huā thā
havā mo'attar thī bhīgī ḳhushbū kā jism chhū kar
sunahrī dhartī se niilā ambar milā huā thā
phaloñ kā mausam nahīñ thā lekin shajar kā saayā
sulagte raste meñ us kī ḳhātir bichhā huā thā
na.e parinde usī ke pahlū meñ chahchahā.e
purānā gaañv jo parbatoñ meñ ghirā huā thā
ufuq pe sūraj ke Dūbne kī subuk ghaḌī thī
siyāh sāgar meñ surḳh bajrā rukā huā thā
utar ke naav se us ne paañv rakhā to 'rāshid'
ḳhizāñ-rasīda kināra yak dam harā huā thā
udas thi sham har sitara bujha hua tha
parinde ghaeb the aur jangal jala hua tha
siyahi phaili to shaKH-e-dil par damakne aaya
wo ek jugnu jo raushni mein chhupa hua tha
hawa mo'attar thi bhigi KHushbu ka jism chhu kar
sunahri dharti se nila ambar mila hua tha
phalon ka mausam nahin tha lekin shajar ka saya
sulagte raste mein us ki KHatir bichha hua tha
nae parinde usi ke pahlu mein chahchahae
purana ganw jo parbaton mein ghira hua tha
ufuq pe suraj ke Dubne ki subuk ghaDi thi
siyah sagar mein surKH bajra ruka hua tha
utar ke naw se us ne panw rakha to 'rashid'
KHizan-rasida kinara yak dam hara hua tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.