udas udas faza kaenat Thahri hai
udaas udaas fazā kā.enāt Thahrī hai
laboñ pe sab ke koī sachchī baat Thahrī hai
ajab sukūt kā manzar hai saare aalam meñ
hai vaqt Thahrā huā aur hayāt Thahrī hai
ufuq pe shams kī aamad kā shor hai kab se
is intizār meñ ab tak ye raat Thahrī hai
kisī kī ziist kā ruknā muhāl hai lekin
kisī ke vāste aksar vafāt Thahrī hai
darinde dasht farishte falak pe Thahr ga.e
zamīñ pe sirf hamārī hī zaat Thahrī hai
ye chand sikke kamā kar ḳhushī se phūlo mat
tumhārī fat.h ke andar hī maat Thahrī hai
tamām log chale jaa.eñ kyā bayābāñ meñ
ki bastiyoñ meñ qazā kī barāt Thahrī hai
sharīf-zādoñ ne 'ehsās' tauba kar lī kyā
hamāre shahr meñ kyoñ vārdāt Thahrī hai
udas udas faza kaenat Thahri hai
labon pe sab ke koi sachchi baat Thahri hai
ajab sukut ka manzar hai sare aalam mein
hai waqt Thahra hua aur hayat Thahri hai
ufuq pe shams ki aamad ka shor hai kab se
is intizar mein ab tak ye raat Thahri hai
kisi ki zist ka rukna muhaal hai lekin
kisi ke waste aksar wafat Thahri hai
darinde dasht farishte falak pe Thahr gae
zamin pe sirf hamari hi zat Thahri hai
ye chand sikke kama kar KHushi se phulo mat
tumhaari fath ke andar hi mat Thahri hai
tamam log chale jaen kya bayaban mein
ki bastiyon mein qaza ki baraat Thahri hai
sharif-zadon ne 'ehsas' tauba kar li kya
hamare shahr mein kyon wardat Thahri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.