udasi ghar mein rakkhi kuchh KHushi chehre pe mal aae
udasi ghar mein rakkhi kuchh KHushi chehre pe mal aae
Siraj Sholapuri
MORE BYSiraj Sholapuri
udāsī ghar meñ rakkhī kuchh ḳhushī chehre pe mal aa.e
hameñ logoñ meñ aanā thā so ham chehra badal aa.e
zarūrī thā zamāne se marāsim kā bharam rakhnā
so thoḌī der ham bhī rang meñ duniyā ke Dhal aa.e
tamanna jis kī bar aa.e vo qismat kab hamārī thī
umīdoñ ke shajar ko kyoñ hamāre koī phal aa.e
yahī ik raah baaqī thī anā kī pāsdārī kī
zarūrat ke the jitne saañp sab ke phan kuchal aa.e
hameñ bhī tishnagī kā tajraba honā zarūrī thā
so taptī dhuup meñ sahrā kī kuchh din ham bhī jal aa.e
vahī be-rang dīvāreñ vahī be-nūr darvāza
kahāñ tak dekhte rahte so ham ghar se nikal aa.e
hameñ bhī ab kahāñ is zindagī se aas hai baaqī
qazā aanā hī jab Thahrī to aaj aa.e ki kal aa.e
udasi ghar mein rakkhi kuchh KHushi chehre pe mal aae
hamein logon mein aana tha so hum chehra badal aae
zaruri tha zamane se marasim ka bharam rakhna
so thoDi der hum bhi rang mein duniya ke Dhal aae
tamanna jis ki bar aae wo qismat kab hamari thi
umidon ke shajar ko kyon hamare koi phal aae
yahi ek rah baqi thi ana ki pasdari ki
zarurat ke the jitne sanp sab ke phan kuchal aae
hamein bhi tishnagi ka tajraba hona zaruri tha
so tapti dhup mein sahra ki kuchh din hum bhi jal aae
wahi be-rang diwaren wahi be-nur darwaza
kahan tak dekhte rahte so hum ghar se nikal aae
hamein bhi ab kahan is zindagi se aas hai baqi
qaza aana hi jab Thahri to aaj aae ki kal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.