Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

udasi hi udasi hai baDe bezar baiThe hain

Ram Parkash Rahi

udasi hi udasi hai baDe bezar baiThe hain

Ram Parkash Rahi

MORE BYRam Parkash Rahi

    udāsī udāsī hai baḌe bezār baiThe haiñ

    na jaane kyā vo baazī thī jise ham haar baiThe haiñ

    havā ke haath meñ hai uf ye kis mausam parvāna

    parinde phir paroñ meñ Daal kar minqār baiThe haiñ

    mashīnoñ ke sukūñ-nā-āshnā is daur meñ yaaro

    kahāñ vo log jo kahte the ham bekār baiThe haiñ

    kisī dīvār saaya ki koī moḌ patthar

    jahāñ baiThe haiñ goyā dar-ḳhur-e-āzār baiThe haiñ

    usī naam hai shāyad rah-e-ulfat majbūrī

    kahīñ se be-sabab uTThe kahīñ nā-chār baiThe haiñ

    inhī logoñ ne maujoñ ko safīnoñ adā hai

    abhī us paar aTke the jo ab is paar baiThe haiñ

    niyāz-o-nāz vo kashmakash bhī ab kahāñ 'rāhī'

    jise ham dil samajhte the use bhī maar baiThe haiñ

    udasi hi udasi hai baDe bezar baiThe hain

    na jaane kya wo bazi thi jise hum haar baiThe hain

    hawa ke hath mein hai uf ye kis mausam ka parwana

    parinde phir paron mein Dal kar minqar baiThe hain

    mashinon ke sukun-na-ashna is daur mein yaro

    kahan wo log jo kahte the hum bekar baiThe hain

    kisi diwar ka saya ki koi moD ka patthar

    jahan baiThe hain goya dar-KHur-e-azar baiThe hain

    usi ka nam hai shayad rah-e-ulfat ki majburi

    kahin se be-sabab uTThe kahin na-chaar baiThe hain

    inhi logon ne maujon ko safinon ki ada di hai

    abhi us par aTke the jo ab is par baiThe hain

    niyaz-o-naz ki wo kashmakash bhi ab kahan 'rahi'

    jise hum dil samajhte the use bhi mar baiThe hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now