udasi ke payambar the bala ke
udāsī ke payambar the balā ke
mire hamdam qalandar the balā ke
ga.e to lauT kar aa.e nahīñ phir
tirī āñkhoñ meñ mantar the balā ke
milī sahrā-nashīnī jin ko yaaro
mizājoñ meñ samundar the balā ke
so ḳhuuñ gar ho ga.ī ye chashm-e-ḳhūbāñ
hamāre ḳhvāb banjar the balā ke
ka.ī logoñ ne paayā raushnī ko
hamāre zaḳhm aḳhtar the balā ke
mirā sheva thā sab se hañs ke milnā
mirī qismat meñ ḳhanjar the balā ke
ye ab bhī ruuh merī nochte haiñ
tumhāre lafz nashtar the balā ke
udasi ke payambar the bala ke
mere hamdam qalandar the bala ke
gae to lauT kar aae nahin phir
teri aankhon mein mantar the bala ke
mili sahra-nashini jin ko yaro
mizajon mein samundar the bala ke
so KHun gar ho gai ye chashm-e-KHuban
hamare KHwab banjar the bala ke
kai logon ne paya raushni ko
hamare zaKHm aKHtar the bala ke
mera shewa tha sab se hans ke milna
meri qismat mein KHanjar the bala ke
ye ab bhi ruh meri nochte hain
tumhaare lafz nashtar the bala ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.