udasi kya bataun apne ghar ki
udāsī kyā batā.ūñ apne ghar kī
fazā ḳhāmosh hai ab bām-o-dar kī
talāsh aur vo bhī husn-e-rahguzar kī
kahāñ takmīl ho zauq-e-nazar kī
yahī rūdād hai bas umr-bhar kī
jahāñ saaya milā ham ne basar kī
ḳhirad hai roz-o-shab kī kashmakash meñ
junūñ ko fikr kyā shām-o-sahar kī
dil-e-īzā-talab hī jāntā hai
karishma-sāziyāñ husn-e-nazar kī
hamesha fikr-e-sāhil bahr-e-ġham meñ
kabhī tūfāñ pe bhī tū ne nazar kī
hamārī ehtiyāj-e-zindagī meñ
duā muhtāj phirtī hai asar kī
qafas se uḌ ke jā.eñge kahāñ ham
zarūrat kyā rahī ab bāl-o-par kī
madār is kā huā jaatā hai shar par
burī hālat hai ab nau-e-bashar kī
ajal sar par khaḌī hai aa ke ġhāfil
are kuchh fikr kar raḳht-e-safar kī
kahāñ hai aaj kal 'ḳhushtar' vo duniyā
jahāñ kuchh qadr hotī hai hunar kī
udasi kya bataun apne ghar ki
faza KHamosh hai ab baam-o-dar ki
talash aur wo bhi husn-e-rahguzar ki
kahan takmil ho zauq-e-nazar ki
yahi rudad hai bas umr-bhar ki
jahan saya mila hum ne basar ki
KHirad hai roz-o-shab ki kashmakash mein
junun ko fikr kya sham-o-sahar ki
dil-e-iza-talab hi jaanta hai
karishma-saziyan husn-e-nazar ki
hamesha fikr-e-sahil bahr-e-gham mein
kabhi tufan pe bhi tu ne nazar ki
hamari ehtiyaj-e-zindagi mein
dua muhtaj phirti hai asar ki
qafas se uD ke jaenge kahan hum
zarurat kya rahi ab baal-o-par ki
madar is ka hua jata hai shar par
buri haalat hai ab nau-e-bashar ki
ajal sar par khaDi hai aa ke ghafil
are kuchh fikr kar raKHt-e-safar ki
kahan hai aaj kal 'KHushtar' wo duniya
jahan kuchh qadr hoti hai hunar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.