udasiyan baDi neamat hai gham ke maron mein
udāsiyāñ baḌī ne.amat hai ġham ke māroñ meñ
ginā na jaa.e hameñ ab se be-sahāroñ meñ
sazā milī hai judā.ī kī tā-azal un ko
huā thā ishq samundar ke do kināroñ meñ
sukūn-e-dīd ko achchhe haiñ rang phūloñ ke
sukūn-e-dil kise miltā hai in bahāroñ meñ
ab aa.ine se nikalnā bahut zarūrī hai
raheñge aur na chehre ke tābe'dāroñ meñ
vo dekhtā hai mujhe mujh ko aisā lagtā hai
ye rang yūñhī nahīñ phailte nazāroñ meñ
falak pe kaise vo miltā jo dil meñ thā mere
maiñ DhūñDhtī rahī shab bhar use sitāroñ meñ
ḳhudā kā shukr ki shab mujh pe aa ga.ī 'mīrā'
maiñ thak ga.ī thī bahut din ke regzāroñ meñ
udasiyan baDi neamat hai gham ke maron mein
gina na jae hamein ab se be-sahaaron mein
saza mili hai judai ki ta-azal un ko
hua tha ishq samundar ke do kinaron mein
sukun-e-did ko achchhe hain rang phulon ke
sukun-e-dil kise milta hai in bahaaron mein
ab aaine se nikalna bahut zaruri hai
rahenge aur na chehre ke tabe'daron mein
wo dekhta hai mujhe mujh ko aisa lagta hai
ye rang yunhi nahin phailte nazaron mein
falak pe kaise wo milta jo dil mein tha mere
main DhunDhti rahi shab bhar use sitaron mein
KHuda ka shukr ki shab mujh pe aa gai 'mira'
main thak gai thi bahut din ke regzaron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.