udasiyon ka hamari sabab tumhin to the
udāsiyoñ kā hamārī sabab tumhīñ to the
hamārī fikr meñ bas roz-o-shab tumhīñ to the
hameñ ġharaz hī na thī aur kuchh bhī duniyā meñ
hamārī ziist kī pahlī talab tumhīñ to the
jo guzre baaġh se titlī laboñ pe aa baiThī
hazāroñ phuul the par ġhuncha-lab tumhīñ to the
kisī ke aane se ham ko koī ḳhushī na milī
hamāre vāste bazm-e-tarab tumhīñ to the
karūñ bayān bhī kyā maiñ dil-e-shikasta kā
jigar meñ tum the mire zer-e-lab tumhīñ to the
hameñ umīd-e-mudāvā kisī se kyoñ hotī
hamāre dard-e-jigar kā matab tumhīñ to the
kisī ne tum se adāvat rakhī to kyā 'muḳhtār'
agarche dahr meñ ik be-adab tumhīñ to the
udasiyon ka hamari sabab tumhin to the
hamari fikr mein bas roz-o-shab tumhin to the
hamein gharaz hi na thi aur kuchh bhi duniya mein
hamari zist ki pahli talab tumhin to the
jo guzre bagh se titli labon pe aa baiThi
hazaron phul the par ghuncha-lab tumhin to the
kisi ke aane se hum ko koi KHushi na mili
hamare waste bazm-e-tarab tumhin to the
karun bayan bhi kya main dil-e-shikasta ka
jigar mein tum the mere zer-e-lab tumhin to the
hamein umid-e-mudawa kisi se kyon hoti
hamare dard-e-jigar ka matab tumhin to the
kisi ne tum se adawat rakhi to kya 'muKHtar'
agarche dahr mein ek be-adab tumhin to the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.