udasiyon ka karishma tha koi baat na thi
udāsiyoñ kā karishma thā koī baat na thī
ki zaat zaat kā madfan thī merī zaat na thī
hamārā apnā hī ghar thā ise to pahchāneñ
yahāñ to raat kī tārīkiyoñ meñ raat na thī
zamāna ruuTh ke merī anā se Takrāyā
bas itnī baat thī vaise ye koī baat na thī
jilau meñ ġham ke thakan saath saath rahtī thī
vo aa ke dekh hī letā koī barāt na thī
ajiib baat thī yārān-e-nukta-sanj nahīñ
mirī hayāt ke dāman meñ bhī hayāt na thī
koī bhī samt na thī jab safar pe niklā thā
maiñ shash-jihāt thā raste meñ koī ghaat na thī
havā kā jhoñkā thā maiñ apne baaġh meñ bhī 'matīn'
guzar gayā thā to ḳhāk-e-chaman bhī saath na thī
udasiyon ka karishma tha koi baat na thi
ki zat zat ka madfan thi meri zat na thi
hamara apna hi ghar tha ise to pahchanen
yahan to raat ki tarikiyon mein raat na thi
zamana ruTh ke meri ana se Takraya
bas itni baat thi waise ye koi baat na thi
jilau mein gham ke thakan sath sath rahti thi
wo aa ke dekh hi leta koi baraat na thi
ajib baat thi yaran-e-nukta-sanj nahin
meri hayat ke daman mein bhi hayat na thi
koi bhi samt na thi jab safar pe nikla tha
main shash-jihat tha raste mein koi ghat na thi
hawa ka jhonka tha main apne bagh mein bhi 'matin'
guzar gaya tha to KHak-e-chaman bhi sath na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.