udasiyon ka musalsal ye daur chalna hai
udāsiyoñ kā musalsal ye daur chalnā hai
na koī hādsa honā na jī bahalnā hai
vo aur hoñge milā jin ko raushnī kā safar
hameñ to bujhte charāġhoñ ke saath chalnā hai
ye Dhaltī umr ke raste bahut thakā deñge
qadam qadam pe nayā rāsta nikalnā hai
vidā.a ho ga.ī kah kar ye ḳhushbuoñ kī sadā
gulāb-jismoñ ko ab pattharoñ meñ Dhalnā hai
kisī kā lahreñ manā.eñgī jashn-e-ġharqābī
phir aaj raat samundar bahut uchhalnā hai
mirī shikast meñ muzmar hai terī kotāhī
tujhe bhī merī tarah kal ko haath malnā hai
udasiyon ka musalsal ye daur chalna hai
na koi hadsa hona na ji bahalna hai
wo aur honge mila jin ko raushni ka safar
hamein to bujhte charaghon ke sath chalna hai
ye Dhalti umr ke raste bahut thaka denge
qadam qadam pe naya rasta nikalna hai
widaa ho gai kah kar ye KHushbuon ki sada
gulab-jismon ko ab pattharon mein Dhalna hai
kisi ka lahren manaengi jashn-e-gharqabi
phir aaj raat samundar bahut uchhalna hai
meri shikast mein muzmar hai teri kotahi
tujhe bhi meri tarah kal ko hath malna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.