Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

udasiyon ka samundar hai tishna-lab ab bhi

Rizwan Haider

udasiyon ka samundar hai tishna-lab ab bhi

Rizwan Haider

MORE BYRizwan Haider

    udāsiyoñ samundar hai tishna-lab ab bhī

    ḳhamoshī kal bhī mire ghar meñ thī ajab ab bhī

    use to liyā maiñ ne baḌe vasūq ke saath

    pareshāñ kartī hai phir kaun talab ab bhī

    chalo ye maan liyā hai qarīb shah-rag se

    samajh meñ aatā nahīñ hai mujhe to rab ab bhī

    salām karne lagā huuñ maiñ aate jaate use

    javāb nahīñ detā vo be-adab ab bhī

    ki ab to vasl hai ye hijr bhī nahīñ lekin

    chalī aatī hai aksar udaas shab ab bhī

    maiñ sochtā huuñ ke maazī bhulā duuñ varna

    merī shikast ban saktā hai sabab ab bhī

    udasiyon ka samundar hai tishna-lab ab bhi

    KHamoshi kal bhi mere ghar mein thi ajab ab bhi

    use to pa liya main ne baDe wasuq ke sath

    pareshan karti hai phir kaun si talab ab bhi

    chalo ye man liya hai qarib shah-rag se

    samajh mein aata nahin hai mujhe to rab ab bhi

    salam karne laga hun main aate jate use

    jawab hi nahin deta wo be-adab ab bhi

    ki ab to wasl hai ye hijr bhi nahin lekin

    chali hi aati hai aksar udas shab ab bhi

    main sochta hun ke mazi bhula hi dun warna

    meri shikast ka ban sakta hai sabab ab bhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now