udasiyon ki rah par sanbhal nahin saka to kya
udāsiyoñ kī raah par sañbhal nahīñ sakā to kyā
maiñ vahshatoñ ke daur se nikal nahīñ sakā to kyā
tumheñ to merī bebasī pe lutf aa gayā thā nā
maiñ beḌiyoñ kī dhun pe ḳhud machal nahīñ sakā to kyā
shab-e-visāl-e-yār us kā pairahan nahīñ khulā
vo mom mere haath par pighal nahīñ sakā to kyā
ka.ī gharoñ meñ raushnī kā maiñ sabab banā rahā
maiñ zindagī ke baam par jo jal nahīñ sakā to kyā
bhalā sabhī ko kab milī haiñ ḳhushbueñ pasand kī
maiñ faisle nasīb ke badal nahīñ sakā to kyā
udasiyon ki rah par sanbhal nahin saka to kya
main wahshaton ke daur se nikal nahin saka to kya
tumhein to meri bebasi pe lutf aa gaya tha na
main beDiyon ki dhun pe KHud machal nahin saka to kya
shab-e-visal-e-yar us ka pairahan nahin khula
wo mom mere hath par pighal nahin saka to kya
kai gharon mein raushni ka main sabab bana raha
main zindagi ke baam par jo jal nahin saka to kya
bhala sabhi ko kab mili hain KHushbuen pasand ki
main faisle nasib ke badal nahin saka to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.