uDate aae hain aap apne KHwab-zar ki KHak
uḌāte aa.e haiñ aap apne ḳhvāb-zār kī ḳhaak
ye aur ḳhaak hai ik dasht-e-be-kanār kī ḳhaak
ye maiñ nahīñ huuñ to phir kis kī aamad aamad hai
ḳhushī se nāchtī phirtī hai regzār kī ḳhaak
hameñ bhī ek hī sahrā diyā gayā thā magar
uḌā ke aa.e haiñ vahshat meñ be-shumār kī ḳhaak
hamīñ muqīm hue muddateñ huiiñ lekin
suroñ se ab bhī nikaltī hai rahguzār kī ḳhaak
ye haal hai ki abhī se khanak rahe haiñ zarūf
abhī guñdhī nahīñ jin meñ se be-shumār kī ḳhaak
sunā hai DhūñDte phirte haiñ kab se kūza-garāñ
hamārī aañkh kā paanī tire dayār kī ḳhaak
ajab nahīñ ki mujhe zinda gāḌne vaale
kal aa ke phāñk rahe hoñ mire mazār kī ḳhaak
uDate aae hain aap apne KHwab-zar ki KHak
ye aur KHak hai ek dasht-e-be-kanar ki KHak
ye main nahin hun to phir kis ki aamad aamad hai
KHushi se nachti phirti hai regzar ki KHak
hamein bhi ek hi sahra diya gaya tha magar
uDa ke aae hain wahshat mein be-shumar ki KHak
hamin muqim hue muddaten huin lekin
suron se ab bhi nikalti hai rahguzar ki KHak
ye haal hai ki abhi se khanak rahe hain zaruf
abhi gundhi nahin jin mein se be-shumar ki KHak
suna hai DhunDte phirte hain kab se kuza-garan
hamari aankh ka pani tere dayar ki KHak
ajab nahin ki mujhe zinda gaDne wale
kal aa ke phank rahe hon mere mazar ki KHak
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 25.05.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.