uDe hain hosh mere is KHabar se
uḌe haiñ hosh mere is ḳhabar se
nahīñ hai vāsta ab tere dar se
abhī kitnī sazā.eñ aur degā
na mar jā.ūñ kahīñ maiñ tere Dar se
bahut baaqī hai barsoñ kā taqāza
zarā tum lauT ke aao safar se
bharose ke yahāñ hai kaun qābil
bashar behtar kahāñ hai jānvar se
mujhe jiinā hai in bachchoñ kī ḳhātir
nikalnā hai ḳhayāloñ ke bhañvar se
bhulā paa.ī kahāñ maazī ko 'sarhad'
namī āñkhoñ meñ aariz tar-ba-tar se
uDe hain hosh mere is KHabar se
nahin hai wasta ab tere dar se
abhi kitni sazaen aur dega
na mar jaun kahin main tere Dar se
bahut baqi hai barson ka taqaza
zara tum lauT ke aao safar se
bharose ke yahan hai kaun qabil
bashar behtar kahan hai jaanwar se
mujhe jina hai in bachchon ki KHatir
nikalna hai KHayalon ke bhanwar se
bhula pai kahan mazi ko 'sarhad'
nami aankhon mein aariz tar-ba-tar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.