idhar aae to use pas bula kar dekhen
idhar aa.e to use paas bulā kar dekheñ
hāl-e-dil us ko zarā aaj sunā kar dekheñ
bazm-e-ishrat meñ jo rahtī hai musalsal raushan
aaj kī raat vahī sham.a bujhā kar dekheñ
zarre zarre meñ haiñ kitne hī manāzir raushan
aap palkoñ kī ye chilman to uThā kar dekheñ
zulmat-e-ġham meñ tajallī kā samāñ ho shāyad
aaj ham apne nasheman ko jalā kar dekheñ
kitne aks ubhre haiñ aur kitne hue haiñ ma.adūm
dil ke ā.īne ko ā.īna dikhā kar dekheñ
muddatoñ se hai jo pahlū meñ laraztā saaya
aaj ham is ko ujāloñ meñ sajā kar dekheñ
ye bhī ik rañg nayā ruup nayā ho shāyad
aaj ḳhud se hī zarā ḳhud ko chhupā kar dekheñ
idhar aae to use pas bula kar dekhen
haal-e-dil us ko zara aaj suna kar dekhen
bazm-e-ishrat mein jo rahti hai musalsal raushan
aaj ki raat wahi shama bujha kar dekhen
zarre zarre mein hain kitne hi manazir raushan
aap palkon ki ye chilman to uTha kar dekhen
zulmat-e-gham mein tajalli ka saman ho shayad
aaj hum apne nasheman ko jala kar dekhen
kitne aks ubhre hain aur kitne hue hain madum
dil ke aaine ko aaina dikha kar dekhen
muddaton se hai jo pahlu mein larazta saya
aaj hum is ko ujalon mein saja kar dekhen
ye bhi ek rang naya rup naya ho shayad
aaj KHud se hi zara KHud ko chhupa kar dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.