udhar achchha nahin lagta idhar achchha nahin lagta
udhar achchhā nahīñ lagtā idhar achchhā nahīñ lagtā
hameñ ḳhvāboñ kā ab koī safar achchhā nahīñ lagtā
jo nafrat bāñTte rahte haiñ sub.h-o-shām duniyā meñ
mohabbat kā mirī un ko hunar achchhā nahīñ lagtā
kabhī kahte haiñ us ke bin rahā jaatā nahīñ ham se
kabhī kahte haiñ chāhat kā safar achchhā nahīñ lagtā
nasīhat ye hamesha hī tujhe bas yaad rakhnī hai
jo saḌ jaatā hai beTā vo samar achchhā nahīñ lagtā
vo jis ke saa.e meñ pal kar baḌe sab ho ga.e 'ātif'
unheñ ghar meñ vo ab būḌhā shajar achchhā nahīñ lagtā
ḳhudā kī zaat par tum to yaqīñ vaale the ai 'ātif'
tumhāre chehre par koī bhī Dar achchhā nahīñ lagtā
nahīñ rakkho koī rishta bhī us se tum mohabbat kā
kahīñ se bhī tumheñ 'ātif' agar achchhā nahīñ lagtā
udhar achchha nahin lagta idhar achchha nahin lagta
hamein KHwabon ka ab koi safar achchha nahin lagta
jo nafrat banTte rahte hain subh-o-sham duniya mein
mohabbat ka meri un ko hunar achchha nahin lagta
kabhi kahte hain us ke bin raha jata nahin hum se
kabhi kahte hain chahat ka safar achchha nahin lagta
nasihat ye hamesha hi tujhe bas yaad rakhni hai
jo saD jata hai beTa wo samar achchha nahin lagta
wo jis ke sae mein pal kar baDe sab ho gae 'atif'
unhen ghar mein wo ab buDha shajar achchha nahin lagta
KHuda ki zat par tum to yaqin wale the ai 'atif'
tumhaare chehre par koi bhi Dar achchha nahin lagta
nahin rakkho koi rishta bhi us se tum mohabbat ka
kahin se bhi tumhein 'atif' agar achchha nahin lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.