uDne lagi thi chandni ban kar KHizan ki dhul
uḌne lagī thī chāñdnī ban kar ḳhizāñ kī dhuul
ham ne dabā.e aag meñ kin hasratoñ ke phuul
paañv ke pher ne kiyā māthe ko zard ḳhaar
taaza guloñ kī pyaas ne lab kar diye babūl
ujlī nigah kā tiir bhī aarī na kar sakā
rotī zabāñ ne bhar diye qissoñ meñ surḳh suul
paanī ke bulbule meñ bichhī ziist kī bisāt
phir us tahī anaar meñ ġham ne kiyā nuzūl
murġhābiyoñ ke pair se bāñdhī adam kī mauj
is aabī āsmāñ ko diyā phir nafas kā tuul
ye be-mahār ūñTnī sheroñ kī dekhiye
kartī hai kyā ġhazāl kī āñkhoñ se jhuul jhuul
uDne lagi thi chandni ban kar KHizan ki dhul
hum ne dabae aag mein kin hasraton ke phul
panw ke pher ne kiya mathe ko zard KHar
taza gulon ki pyas ne lab kar diye babul
ujli nigah ka tir bhi aari na kar saka
roti zaban ne bhar diye qisson mein surKH sul
pani ke bulbule mein bichhi zist ki bisat
phir us tahi anar mein gham ne kiya nuzul
murghabiyon ke pair se bandhi adam ki mauj
is aabi aasman ko diya phir nafas ka tul
ye be-mahaar unTni sheron ki dekhiye
karti hai kya ghazal ki aankhon se jhul jhul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.