uDte hain do-chaar parinde manzar dhundla dhundla hai
uDte hain do-chaar parinde manzar dhundla dhundla hai
Syed Ali Zaheer
MORE BYSyed Ali Zaheer
uḌte haiñ do-chār parinde manzar dhuñdlā dhuñdlā hai
parde par ik geñd lagī hai yā sūraj kā saaya hai
nannhī-munnī guḌiyā jaisī sūrat thī ik laḌkī kī
ab vo lākhoñ ke majma.a meñ train pakaḌtī chiḌiyā hai
qaabū meñ jitnī thiiñ bāteñ ham ne un ko rok liyā
kuchh bātoñ kā muñh se nikalnā be-qābū kī jvālā hai
kis se kis ko maat huī yā kis ne kis ko chhīn liyā
ye rishtoñ kī asl hai pyāre ye rishtoñ kī maalā hai
‘alī-zahīr' ke dil se pūchho dukh jo us ne jhele haiñ
kāñdhoñ par hai bojh sadī kā āñkhoñ meñ sannāTā hai
uDte hain do-chaar parinde manzar dhundla dhundla hai
parde par ek gend lagi hai ya suraj ka saya hai
nannhi-munni guDiya jaisi surat thi ek laDki ki
ab wo lakhon ke majma mein train pakaDti chiDiya hai
qabu mein jitni thin baaten hum ne un ko rok liya
kuchh baaton ka munh se nikalna be-qabu ki jwala hai
kis se kis ko mat hui ya kis ne kis ko chhin liya
ye rishton ki asl hai pyare ye rishton ki mala hai
‘ali-zahir' ke dil se puchho dukh jo us ne jhele hain
kandhon par hai bojh sadi ka aankhon mein sannaTa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.