uDte hue jugnu mile KHamosh faza mein
uḌte hue jugnū mile ḳhāmosh fazā meñ
kyā us ne lagā dī hai kahīñ aag havā meñ
āġhosh se mamtā ke milī daulat-e-īmāñ
tāsīr ajab hotī hai ye maañ kī duā meñ
iqrār kī bāteñ kabhī inkār kī aadat
kuchh rang ajab aaya nazar us kī adā meñ
shāyad koī guzrā hai liye haath meñ patthar
ik shor hai ḳhāmosh darīchoñ kī sadā meñ
patte bhī daraḳhtoñ ke nazar aa.e barahna
patjhaḌ liye aa.ī hai bahār ab ke fazā meñ
daulat ke ḳhudāoñ ne 'zafar' ye nahīñ sochā
paivand lage rahte haiñ muflis kī qabā meñ
uDte hue jugnu mile KHamosh faza mein
kya us ne laga di hai kahin aag hawa mein
aaghosh se mamta ke mili daulat-e-iman
tasir ajab hoti hai ye man ki dua mein
iqrar ki baaten kabhi inkar ki aadat
kuchh rang ajab aaya nazar us ki ada mein
shayad koi guzra hai liye hath mein patthar
ek shor hai KHamosh darichon ki sada mein
patte bhi daraKHton ke nazar aae barahna
patjhaD liye aai hai bahaar ab ke faza mein
daulat ke KHudaon ne 'zafar' ye nahin socha
paiwand lage rahte hain muflis ki qaba mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.