uDti hui KHabar suni sare jahan mein
uḌtī huī ḳhabar sunī saare jahān meñ
dushman mirā chhupā hai mire hī makān meñ
vo ye samajh rahe haiñ ki mujh ko ḳhabar nahīñ
har baat un kī hotī hai mere hī dhyān meñ
un kī nishāne-bāzī kā ab dekhiye kamāl
un kā bhī tiir aa chukā mere kamān meñ
un kā gumān hai ki huuñ ġhāfil ḳhudā se maiñ
maiñ to sadā rahī huuñ usī kī amaan meñ
terī hadīs-e-shauq thī har ek ne sunī
tāsīr thī ajab tire husn-e-bayān meñ
duniyā meñ saarī ne.amateñ terī haiñ ai 'nasīm'
sab zā.iqe ḳhudā ne rakhe haiñ zanān meñ
uDti hui KHabar suni sare jahan mein
dushman mera chhupa hai mere hi makan mein
wo ye samajh rahe hain ki mujh ko KHabar nahin
har baat un ki hoti hai mere hi dhyan mein
un ki nishane-bazi ka ab dekhiye kamal
un ka bhi tir aa chuka mere kaman mein
un ka guman hai ki hun ghafil KHuda se main
main to sada rahi hun usi ki aman mein
teri hadis-e-shauq thi har ek ne suni
tasir thi ajab tere husn-e-bayan mein
duniya mein sari neamaten teri hain ai 'nasim'
sab zaiqe KHuda ne rakhe hain zanan mein
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 470)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.