uDti hui miTTi hai dil apna koi din mein
uḌtī huī miTTī hai dil apnā koī din meñ
miTne ko hai ye naqsh-e-tamannā koī din meñ
kuchh roz hai lau dete hue dhyān kī garmī
bujhtā nazar aatā hai ye sho'la koī din meñ
tā-chand ye tuġhyānī-e-sad-mauja-e-ehsās
hai ek rag-e-sang ye dariyā koī din meñ
hai baat koī din kī ye hangāma-e-hastī
lā-raib ujaḌtā hai ye mela koī din meñ
har qasr-e-'anāsir kī hai taqdīr meñ girnā
har sūrat-e-zebā hai fasāna koī din meñ
hāsil hai yahāñ kis ko davām-o-abadiyyat
har shahr hai ik gosha-e-sahrā koī din meñ
ā.eñge na phir lauT ke ai yār-e-kam-āmez
uThne ko haiñ arbāb-e-taqāzā koī din meñ
kho jā.uñgā is dasht kī vus'at meñ kahīñ maiñ
DhūñDoge mire naqsh-e-kaf-e-pā koī din meñ
pohñchā hī samajh mujh ko nadīm-e-'adam-ābād
tai hone ko hai manzil-e-duniyā koī din meñ
kuchh haal 'bashīr' aaj digar-gūñ sā lagā hai
kartā hai ye darvesh bhī parda koī din meñ
uDti hui miTTi hai dil apna koi din mein
miTne ko hai ye naqsh-e-tamanna koi din mein
kuchh roz hai lau dete hue dhyan ki garmi
bujhta nazar aata hai ye sho'la koi din mein
ta-chand ye tughyani-e-sad-mauja-e-ehsas
hai ek rag-e-sang ye dariya koi din mein
hai baat koi din ki ye hangama-e-hasti
la-raib ujaDta hai ye mela koi din mein
har qasr-e-'anasir ki hai taqdir mein girna
har surat-e-zeba hai fasana koi din mein
hasil hai yahan kis ko dawam-o-abadiyyat
har shahr hai ek gosha-e-sahra koi din mein
aaenge na phir lauT ke ai yar-e-kam-amez
uThne ko hain arbab-e-taqaza koi din mein
kho jaunga is dasht ki wus'at mein kahin main
DhunDoge mere naqsh-e-kaf-e-pa koi din mein
pohncha hi samajh mujh ko nadim-e-'adam-abaad
tai hone ko hai manzil-e-duniya koi din mein
kuchh haal 'bashir' aaj digar-gun sa laga hai
karta hai ye darwesh bhi parda koi din mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.