uf ye safar tawil ye chhaalon ka silsila
uf ye safar tavīl ye chhāloñ kā silsila
us par mizāj pūchhne vāloñ kā silsila
ab se rahegā ham meñ mulāqāt bhar kā pyaar
maiñ ḳhatm kar chukā huuñ savāloñ kā silsila
hasrat rahī ki jī leñ zarā ho ke be-ḳhayāl
Thahre kabhī kahīñ to ḳhayāloñ kā silsila
insāñ ko saarī umr phirātā hai dar-ba-dar
do roTiyoñ kā chaar nivāloñ kā silsila
ham hī na apnī qaid se bāhar nikal sake
varna kahāñ nahīñ hai ujāloñ kā silsila
ham ko chamaktī ret pe paanī kā hai gumāñ
aaya kahāñ se ham meñ ġhazāloñ kā silsila
miT jā.eñge vafā ke liye pyaar ke liye
ham TūTne na deñge misāloñ kā silsila
uf ye safar tawil ye chhaalon ka silsila
us par mizaj puchhne walon ka silsila
ab se rahega hum mein mulaqat bhar ka pyar
main KHatm kar chuka hun sawalon ka silsila
hasrat rahi ki ji len zara ho ke be-KHayal
Thahre kabhi kahin to KHayalon ka silsila
insan ko sari umr phiraata hai dar-ba-dar
do roTiyon ka chaar niwalon ka silsila
hum hi na apni qaid se bahar nikal sake
warna kahan nahin hai ujalon ka silsila
hum ko chamakti ret pe pani ka hai guman
aaya kahan se hum mein ghazalon ka silsila
miT jaenge wafa ke liye pyar ke liye
hum TuTne na denge misalon ka silsila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.